Yeh Video Dil ki dharkan k zikr ka tarika aur ijazat zikr e qalbi k bare mein hai.murshid e pak Syedna Gohar Shahi madazila ul aali ka talbeen e haq se rouhani khitab jis mein apne irshad furmaya k “kuch log hote hain jin k dil ki dharkan mehsoos hoti hai,kuch logo ko dil ki dharkan mehsoos nahin hoti,aub woh log kya karian?is k leye ayulia allah ne kuch tareeke batey hain jo bohat hi behtreen hain.aur jis tara Hazrt Laal Shahbaz Qalander r.a k pas log faiz k leye jate to Ap furmaty k chulo dhamal dalo,woh kehtay k hum to faiz k leye aaey hain,ap furmaty k humara fiaz dhamal mein hai.khoob dhamal dulwaty jab dekhtay k in k dil dharkanain taiz ho gaie hain to phir furmaty k aub dhamal ko choro aub dil ki dharkan k sath allah allah milao.”